IBP Logo
Loading...
New Arrivals
Bestsellers
Recommended
Aatmao ki Yatra: Journey of Soul, Case Studies of Life between Lives (Hindi)

Aatmao ki Yatra: Journey of Soul, Case Studies of Life between Lives (Hindi)

$0.00
Author:Dr Michael Newton Translated into Hindi by Dr Osho Pramod
ISBN 13:9789381510285
Binding:Softcover
Language:Hindi
Year:2012
Subject:Philosophy and Religion/Philosophy

About the Book

Aatmao Ki Yatra: Journey of souls Case Studies of Life between Lives Aatma ki yatra va punarjanma-gyan ke baabat yeh kahavat bilkul sach hai ki astitva mein sara gyan pehle se maujood hi hai, bus samay-sagar mein yeh gyan lehron ki bhanti kabhi prakat hota, phir vileen hota, aur kabhi phir khoj liya jata hai. 2500 saal purva prachalit bharat ki yeh dharohar kaal ki gart mein dab gai thi. 25 saal pehle pachim mein Dr. Michel Newton ne anayas hi ise punah khoj liya. Ab saamuhik roop se saikado logon ko ek sath, aatma ki yatra ka jeevant anubhav badi saralta se karaya ja sakta hai. Maine swayam iska anubhav Oshodhara Nanakdham mein tridivasiya Mahajeevan Pragya karyakram ke antargat kiya tha. Meri tarah hazaron log purvajanma v aatma ki yatra ka anubhav kar apne vajud ki sacchai se waqif ho chuke hain. Astik ho ya nastik, koi bhi jigyasu apni avchetan smritiyon mein chhipe anubhavon ko ujagar kar jaan sakta hai ki vaastav mein wah kaun hai? Is dharti par kyon, kaise, kisliye aur kahan se aaya? Aap bhi in rahasyon par se parde utha sakte hain. Mahajeevan Pragya mein shamil hokar, apni vigat zindagiyon ki kahani padh sakte hain. Is pustak ka anuvad karne ka lakshya yahi hai ki hindi-bhashi paathkon tak yeh susamachar pahunch jae ki khoi hui sampada bharat mein punah wapas laut aai hai. Contents Prastavana: Dr. Osho Siddharth Phir Yadon ki parten khuli: Dr. Osho Pramodh Bhumika: Dr. Michel Newton Mrityu aur Prayan Aatmalok ka pravesh dwar Grih-wapasi Visthapit aatmaen Anukulan (Orientation) Paargaman (Transition) Sthan nirdharan Hamare margdarshak Aparipakva aatmaen Madhyavarti aatmaen Viksit aatmaen Jivan chayan Nutan deh ka chunav Aarohan ke liye taiyari Punarjanam Upsanhar About the Authors: Michael Newton, Osho Pramodh Is kriti ke anuvadak, Dr. Osho Pramodh Ji Yaaden: Pichle Janamon ki kitab ke jane-mane lekhak hain. Ve ek Shishu-Rog Visheshagya hone ke atirikta, California Instiute of Hypnotherapy dwra sammohan-kala mein prashikshit, Oshodhara ke sup